Kishore Kumar — Chingari Koi Bhadke

[Verse 1] Chingari koi bhadke, to saawan use bujhaye Saawan jo agan lagaaye, usse kaun bujhaye? Patjhad jo baag ujaade, wo baag bahaar khilaye Jo baag bahar mein ujade, usse kaun khilaye? [Verse 2] Humse mat puchho kaise, mandir tuta sapno ka Logo ki baat nahi hai, ye kissaa hai apno ka Koi dushman thes lagaye, to mit jiyaa behlaaye Man-mit jo ghaav lagaye, use kaun mitaaye? [Verse 3] Na jaane kya ho jaataa, jaane ham kya kar jaate Peete hai to zinda hai, na peete to mar jaate Duniya jo pyaasa rakhe, to madira pyaas bujhaye Madira jo pyaas lagaye, use kaun bujhaye? Use kaun bujhaye? [Verse 4] Maana tufaan ke aage nahi chalta zor kisi ka Maujo ka dosh nahi hai, ye dosh hai aur kisi ka Majdhaar mein naiyaa dole, to maajhi paar lagaye Maajhi jo naav duboye, use kaun bachaye? O use kaun bachaye?


Other Kishore Kumar songs:
all Kishore Kumar songs all songs from 1971