Kumar Sanu — Ek Ladki Ko Dekha

[Verse 1] Ho, ek ladki ko dekha to aisa laga Ek ladki ko dekha to aisa laga Jaise khilta gulaab, jaise shayar ka khwaab Jaise ujali kiran, jaise ban mein hiran Jaise chandni raat, jaise narmi baat Jaise mandir mein ho ek jalta diya Ho, ek ladki ko dekha to aisa laga [Verse 2] Ho, ek ladki ko dekha to aisa laga Ek ladki ko dekha to aisa laga Jaise subah ka roop, jaise sardi ki dhoop Jaise veena ki taan, jaise rangon ki jaan Jaise balkhaayen bel, jaise lehron ka khel Jaise khushboo liye aaye thandi hawa Ho, ek ladki ko dekha to aisa laga [Verse 3] Ho, ek ladki ko dekha to aisa laga Ek ladki ko dekha to aisa laga Jaise naachta moar, jaise resham ki dor Jaise pariyon ka raag, jaise sandal ki aag Jaise solah shringar, jaise ras ki phuhaar Jaise aahista aahista badhta nasha Ho, ek ladki ko dekha to aisa laga [Outro] Ek ladki ko dekha to aisa laga


Other Kumar Sanu songs:
all Kumar Sanu songs all songs from 1994