Lucky Ali — Kabhi Aisa Lagta Hai

Kabhi aisa lagta hai, dil mein ek raaz hai Jisse kehna chahoon, par main keh paaoo na Aankhon hi aankhon mein keh jaati hai jo ye Khamoshiyon ki ye kaisi zubaan Maine suna jo na usne kaha Kya aisa hi hota hai pyaar Mere khuda mujhe itna bta Kya aisa hi hota hai pyaar Kabhi aisa lagta hai, anjaani pyaas hai Par simti hothon mein vo reh paaye na Kaisa ehsaas hai, koi to paas hai Ye dooriyan hain phir kaisi yahan Mehki lage ye saari fiza Kya aisa hi hota hai pyaar Mere khuda mujhe itna bta Kya aisa hi hota hai pyaar Ye sach hai chahat pe kabhi kisi ka bhi zor nahin Dilbar ki yaadon ko bandhe aisi koi dor nahin Sab kuch wohi par lagta nahin Kya aisa hi hota hai pyaar Mere khuda mujhe itna bta Kya aisa hi hota hai pyaar Kabhi aisa lagta hai, dil mein ek raaz hai Jisse kehna chahoon, par main keh paaoo na Aankhon hi aankhon mein keh jaati hai jo ye Khamoshiyon ki ye kaisi zubaan Maine suna jo na usne kaha Kya aisa hi hota hai pyaar Mere khuda mujhe itna bta Kya aisa hi hota hai pyaar Ek pal jo mil jaaye phir wo chala jaaye door kahin Duniya mein is dil ke jaisa koi majboor nahin Maine suna pyar karta jahan Kya aisa hi hota hai pyaar Mere khuda mujhe itna bta Kya aisa hi hota hai pyaar


Other Lucky Ali songs:
all Lucky Ali songs all songs from 2004