Mohammed Rafi — Jinhe Naaz Hai Hind Par

Ye kooche ye nilaam Ghar dilkashi ke Ye kooche ye nilaam Ghar dilkashi ke Ye lutate huye Caaravan zindagi ke Kahaan hain kahan hain Muhafiz khudi ke Jinhe naaz hai hind Par wo kahaan hai Kahaan hain kahaan Hain kahaan hain Ye purpech galiyaan Ye badnaam bazaar Ye gumnaam raahi Ye sikkon ki jhankaar Ye ismat ke saude Ye saanson ke taqraar Jinhe naaz hai hind Par wo kahaan hai Kahaan hain kahaan Hain kahaan hain Ye sadiyon se bekhauf Sehmi si galiyaan Ye masli huyi adhkhili Zard kaliyaan Ye bikti huyi khokhli Rangraliyaan Jinhen naaz hai hind Par wo kahaan hain Kahaan hain kahaan Hain kahaan hain Wo ujle darichon mein Paayal ki chhan chhan Thaki haari saanson Pe table ki dhandhan Wo ujle darichon mein Paayal ki chhan chhan Thaki haari saanson Pe table ki dhandhan Ye berooh kamron me Khaansi ki thanthan Jinhe naaz hai hind Par wo kahaan hai Kahaan hain kahaan Hain kahaan hain Ye phoolon ke gajre Ye pikon ke chhinte Ye bebaak nazren Ye gustaakh fiqre Ye dhalke badan aur Ye bimar chehre Jinhen naaz hai hind Par wo kahaan hai Kahaan hain kahaan Hain kahaan hain Yahaan pir bhi aa chuke Hain jawaan bhi Tanomand bete bhi ha ha Abbaa miyaan bhi Ye biwi bhi hai Ye biwi bhi hai aur Behan bhi hai maan bhi Jinhe naaz hai hind Par wo kahaan hain Kahaan hain kahaan Hain kahaan hain Madad chaahti hai Ye hawwa ki beti Yashoda ki hamjins Radha ki beti Madad chaahti hai Ye hawwa ki beti Yashoda ki hamjins Radha ki beti Payambar ki ummat Jule khan ki beti Jinhe naaz hai hind Par wo kahaan hain Kahaan hain kahaan Hain kahaan hain Zara mulk ke Rahbaron ko bulaao Ye kooche ye galiyaan Ye manzhar dikhaao Jinhe naaz hai hind Par unko laao Jinhe naaz hai hind Par wo kahaan hai Kahaan hain kahaan Hain kahaan hain


Other Mohammed Rafi songs:
all Mohammed Rafi songs all songs from 1957