Sonu Nigam — Sandese Aate Hai

[Chorus] Sandese aate hai, humein tadpaate hai Jo chitthi aati hai, wo poochhe jaati hai Ke ghar kab aaoge? Ke ghar kab aaoge? Likho kab aaoge? Ke tum bin ye ghar soona, soona hai Sandese aate hai, humein tadpaate hai Jo chitthi aati hai, wo poochhe jaati hai Ke ghar kab aaoge? Ke ghar kab aaoge? Likho kab aaoge? Ke tum bin ye ghar soona, soona hai [Intrumental-break] [Verse 1] Kisi dilwaali ne, kisi matwaali ne Humein khat likha hai, ye humse poochha hai Kisi ki saanson ne, kisi ki dhadkan ne Kisi ki choodi ne, kisi ke kangan ne Kisi ke kajre ne, kisi ke gajre ne Mahekti subahon ne, machalti shaamon ne Akeli raaton ne, adhoori baaton ne, tarasti baahon ne Aur poochha hai tarsi nigaahon ne [Pre-Chorus] Ke ghar kab aaoge? Ke ghar kab aaoge? Likho kab aaoge? Ke tum bin ye ghar soona, soona hai [Chorus] Sandese aate hai, humein tadpaate hai Jo chitthi aati hai, wo poochhe jaati hai Ke ghar kab aaoge? Ke ghar kab aaoge? Likho kab aaoge? Ke tum bin ye ghar soona, soona hai [Intrumental-break] [Verse 2] Mohabbat waalon ne, hamaare yaaron ne Humein ye likha hai, ke humse poochha hai Hamaare gaaon ne, aam ki chhaaon ne Puraane peepal ne, baraste baadal ne Khet khaliyaanon ne, hare maidaanon ne Basanti belon ne, jhoomti belon ne Lachakte jhulon ne, behekte phoolon ne, chatakti kaliyon ne Aur poochha hai gaaon ki galiyon ne [Pre-Chorus] Ke ghar kab aaoge? Ke ghar kab aaoge? Likho kab aaoge? Ke tum bin ye ghar soona, soona hai [Chorus] Sandese aate hai, humein tadpaate hai Jo chitthi aati hai, wo poochhe jaati hai Ke ghar kab aaoge? Ke ghar kab aaoge? Likho kab aaoge? Ke tum bin ye ghar soona, soona hai [Intrumental-break] [Verse 3] Kabhi ek mamta ki, pyaar ki Ganga ki Jo chitthi aati hai, saath woh laati hai Mere din bachpan ke, khel wo aangan ke Wo saaya aanchal ka, wo teeka kaajal ka Wo lori raaton mein, wo narmi haathon mein Wo chaahat aankhon mein, wo chinta baaton mein Bigadna upar se, mohabbat andar se, kare wo Devi Maa Yahin har khat mein poochhe meri maa [Pre-Chorus] Ke ghar kab aaoge? Ke ghar kab aaoge? Likho kab aaoge? Ke tum bin ye ghar soona, soona hai [Chorus] Sandese aate hai, humein tadpaate hai Jo chitthi aati hai, wo poochhe jaati hai Ke ghar kab aaoge? Ke ghar kab aaoge? Likho kab aaoge? Ke tum bin ye ghar soona, soona hai [Intrumental-break] [Verse 4] Ae, guzarne waali hawa btaa, mera itna kaam karegi kya? Mere gaaon jaa, mere doston ko salaam de Mere gaaon mein hai jo wo gali, jahan rehti hai meri dilrubaa Use mere pyaar ka jaam de, use mere pyaar ka jaam de Wahi thodi door hai ghar mera Mere ghar mein hai meri boodhi Maa Meri maa ke pairon ko chhoo ke Tu use uske beta ka naam de Ae, guzarne waali hawa zara Mere doston meri dilrubaa Meri maa ko mera payaam de Unhe jaake tu ye payaam de [Outro] Main waapas aaoonga, main waapas aaoonga Phir apne gaaon mein, usiki chhaaon mein Ki Maa ke aanchal se, gaaon ke peepal se Kisi ke kaajal se, kiya jo waada tha wo nibhaoonga Main ek din aaoonga, main ek din aaoonga Main ek din aaoonga, main ek din aaoonga Main ek din aaoonga, main ek din aaoonga Main ek din aaoonga, main ek din aaoonga


Other Sonu Nigam songs:
all Sonu Nigam songs all songs from 1999