Lata Mangeshkar — Ae Mere Watan Ke Logon

[Intro] Ae mere vatan ke logon, tum khub laga lo naara Ye shubh din hai hum sab ka, lehara lo tiranga pyara Par mat bhulo seema par, veeron ne hai praan ganwaye Kuch yaad unhe bhi kar lo, kuch yaad unhe bhi kar lo Jo laut ke ghar na aaye, jo laut ke ghar na aaye [Chorus] Ae mere Watan ke logon, jara aankh me bhar lo paani Jo shaheed huye hain unki, zara yaad karo kurbani Ae mere Watan ke logon, jara aankh me bhar lo paani Jo shaheed huye hain unki, zara yaad karo kurbani [Verse 1] Jab ghaayal huwa himalaya, khatare me padi aazadi Jab tak thi saans lade wo Jab tak thi saans lade wo, phir apni laash bichha di Sangin pe dhar kar maatha, so gaye amar balidani Jo shaheed huye hain unki, zara yaad karo kurbani [Verse 2] Jab desh mein thi diwali, wo khel rahe the holi Jab hum baithe the gharon mein Jab hum baithe thе gharon mein, wo jhel rahe thе goli The dhanye jawan wo apne, thi dhanye wo unki jawani Jo shaheed huye hain unki, zara yaad karo kurbani [Verse 3] Koyi sikh koyi jatt-maratha, koyi sikh, koyi jatt-maratha Koyi gurkha koyi madrasi, koyi gurkha koyi madrasi Sarhad pe marnewala Sarhad pe marnewala, har veer tha bharatwaasi Jo khoon gira parwat par, wo khoon tha hindustani Jo shaheed huye hain unki, zara yaad karo kurbani [Verse 3] Thi khoon se lath-path kaaya, phir bhi bandook uthaake Das-das ko ek ne maara, phir gir gaye hosh ganvaake Jab ant samay aaya to Jab ant samay aaya to, keh gaye ke ab marte hain Jab ant samay aaya to, keh gaye ke ab marte hain Khush rehana desh ke pyaaro, khush rehana desh ke pyaaro Ab hum to safar karte hain, ab ham to safar karte hain Kya log the wo diwane, kya log the wo abhimaani Jo shaheed huye hain unki, jara yaad karo kurbaani [Outro] Tum bhool na jaao unko, iss liye kahi ye kahani Jo shaheed huye hain unki, jara yaad karo kurbaani Jai Hind, Jai Hind ki sena Jai Hind, Jai Hind ki sena Jai Hind, Jai Hind, Jai Hind


Other Lata Mangeshkar songs:
all Lata Mangeshkar songs all songs from 1962