Lata Mangeshkar — Chana Jor Garam

Tum tum tarara, tum tum taram Tum tum tarara, tum tum taram Tum tum tarara, tum tum taram Tum tum tarara, tum tum taram Tum tum taram taram Tum tum taram taram Duniya ke hain lakh dharam par apna ek karam Chana jor garam Chana jor garam babu main laayi mazedar Chana jor garam Chana jor garam babu main laya mazedar Chana jor garam Mera chana bana hai aala Jismein dala garam masala Isko khaayega dilwala chana jor garam Mera chana kha gaya gora Mera chana kha gaya gora Kha ke ban gaya tagda ghoda Maine pakad ke use maroda Maar ke tangdi usko toda chana jor garam Chana jor garam babu main laya mazedar Chana jor garam Mere chane ki aankh sharabi Sharabi, chane ki aankh sharabi Ho iske dekho gaal gulabi Gulabi, dekho gaal gulabi Ho iska koi nahi jawabi, iska koi nahi jawabi Jaise koi kudi Punjabi, jaise koi kudi Punjabi Nache chhanan chhanan Nache chhanan chhanan Kothe chadhke tainu pukara Sunle mere balam chana jor garam Chana jor garam babu main laayi mazedar Mera chana kha gaye gore Gore, chana kha gaye gore Ho gore jo ginti mein hain thode Ho phir bhi maare humko kode Phir bhi maare humko kode Tum tum taram taram, tum tum taram taram Lakhon kode toorte phir bhi toota na dumkham Chana jor garam Chana jor garam babu main laya mazedar Chana jor garam Chana jor garam babu main laya mazedar Chana jor garam Chana jor garam, chana jor garam Chana jor garam, chana jor garam Chana jor garam, chana jor garam Mera chana hai apni marzi ka Marzi ka bhai marzi ka Mera chana hai apni marzi ka Marzi ka bhai marzi ka Yeh dushman hai khudgarzi ka Khudgarzi ka, khudgarzi ka Sar kafan bandh ke nikla hai Deewana hai yeh pagla hai Mera chana hai apni marzi ka Marzi ka bhai marzi ka Apnon se naata jodega Gairon ke sar ko phodega Apna yeh vachan nibhayega Maati ka karz chukayega Chana hai apni marzi ka Marzi ka bhai marzi ka Mit jaane ko mit jaayega Azaad watan kar jaayega Na to chori hai, na to daaka hai Bas yeh to ek dhamaka hai Dhamake mein awaz bhi hai Ek soz bhi hai, ek saaz bhi hai Samjho to baat yeh saaf bhi hai Aur na samjho to raaz bhi hai Apni dharti, apna hai gagan Yeh mera hai, mera hai watan Apni dharti, apna hai gagan Yeh mera hai, mera hai watan Is par jo aankh uthayega zinda dafnaya jaayega Mera chana hai apni marzi ka Marzi ka bhai marzi ka Yeh dushman hai khudgarzi ka Khudgarzi ka, khudgarzi ka Mera chana hai apni marzi ka Marzi ka bhai marzi ka Yeh dushman hai khudgarzi ka Khudgarzi ka, khudgarzi ka


Other Lata Mangeshkar songs:
all Lata Mangeshkar songs all songs from 1980